Y

YouLibs

Remove Touch Overlay

Aditya Sawant: The Man Behind Patt Se Headshot!

Duration: 08:38Views: 1.8MLikes: 84KDate Created: Sep, 2019

Channel: Sunny Garewal

Category: Gaming

Tags: dynamo best clutchesdynamo life storyhistory of dynamoadi sawant dynamojourney of dynamostory of dynamoaditya sawant dynamo pubg gameplayjourney of dynamo gamingdynamo liveaditya dynamo pubg interviewsuccess story of dynamo gamingevolution of dynamo gamingaditya sawantsuccess story of dynamodynamo gaming life storysuccess of dynamoaadi sawantaditya dynamo pubg biographydynamo gamingstory of dynamo gaming

Description: (STORY OF DYNAMO) Adiya Sawant jinhe Dynamo ke naam se jaana jata hai ek Indian streamer aur Youtuber hai. Dynamo ka famous dialogue Patt Se Headshot hai aur apne sniping skills ke karan jaane jaate hai. Toh chaliye jaante hai ki Dynamo kaise bane ek successful streamer aur Youtuber. BORN OF A RISING STAR (एक उभरते हुए सितारे का जन्म) Dynamo ka janm 3 June 1995 ko Mumbai, Maharashtra mein hua. Bachpan se he Dynamo ko games khelna pasand tha aur jab Dynamo 6th standard mein the tab apne school ke pass ke gaming parlour mein 2D games khela karte the. Dynamo ke gaming passion ko dekhte hue unke cousin ne apna laptop Dynamo ko gift kar diya. Dynamo apne cousin ke gift se bahot khush hue aur Road Rash, IGI 2, GTA Vice City, GTA San Andreas jaise games khelne lage. Baad mein Dynamo online games jaise Counter-Strike 1.6, Battlefield 2 aur Dota 1 khelne lage. Online games ke concept se Dynamo kaafi impressed hue aur yeh online games din mein kai ghante tak khela karte the. ENTERED YOUTUBE (यूट्यूब में प्रवेश किया) Apne isi gaming passion ko dekhte hue Dynamo ne 2010 mein Youtube mein videos upload karna start kiya. 2013 mein Dynamo ne pehli baar ESL tournament mein participate kiya. Is ESL tournament mein Dynamo ne Battlefield 2 category mein participate kiya aur kaafi aacha perform kiya. 2 saal baad 2015 mein Dynamo ne apna PC build kiya. Is naye PC ko Dynamo ne apni savings aur apne Dad ki madad se build kiya. Naye PC pe Dynamo ne Dota 2, Battlefield 3, Counter-Strike Global Offensive, Tom Clancy’s Six Seige jaise games install kiye aur saath he in games ki highlight videos ko bhi apne Youtube channel pe upload kiya. STARTED STREAMING (स्ट्रीमिंग शुरू की) Youtube channel par itni mehnat karne ke bawajoot bhi Dynamo ko itni success nahi milli jitni ki expect ki thi par fir bhi regularly videos upload kar rahe the. Fir 2017 mein PUBG PC release hua. Apne Youtube channel ko grow karne ke liye Dynamo ne PUBG PC ki live streaming start kar di. Shuru mein Dynamo ki live streamimg mein sirf 2 viewers he hua karte the aur woh 2 viewers khud Dynamo he the. Dynamo apni live streaming ko apne PC aur Mobile pe on rakhte the taaki jo bhi naya viewer use ayesa lage ki atleast 2 log toh unki live stream dekh rahe hai. Ayesa Dyanmo ne ek mahine tak kiya aur fir unki live stream par watching aane lagi. Jald he Dyanmo ke 100 subscribers ho gaye. Dynamo ko in 100 subscribers ko gain karne mein 7 saal ka samay lag gaya aur is achievement se Dynamo bahot motivate hue. PUBG PC ke alawa Dynamo ne apne viewers ki demand par GTA V, Fortnite aur Paladins ki bhi live streaming ki. Iske kuch mahine baad PUBG Mobile release hua. PUBG Mobile ki growing popularity aur apne viewers ki request pe Dynamo ne PUBG Mobile ki live stream ki. Dynamo un first streamers mein se ek the jinhone PUBG mobile ki live stream ki. Dynamo ko apne viewers se aacha response mila aur saath he naye viewers bhi aane lage unki live stream dekhne ke liye. Dynamo ka channel jaldi se grow hone laga aur sirf ek hafte ke ander Dynamo ke 5000 se zayada subscribers ho gaye. Dynamo ki badhti popularity ko dekhte hue bade Youtubers jaise Gareeb aur Roasting Guru bhi unke saath khelne lage. Iske baad Dynamo ne Hydra Clan banane ka socha aur Alpha Clasher, Nerd, Rambo, BTS jaise players ko apne clan mein recruit kiya. Jald he Dynamo Season 3 ke conqueror tier tak bhi pahoch gaye aur kuch he dino mein Asia ke Top 10 players mein se ek ban gaye.  Dynamo ki live stream ko dekhne ke liye abh hazaro log aane lage aur CarryisLive ka highest 65000 live watching ka record bhi todh diya. December 2018 mein Dynamo ke 10 Lakh subscribers ho gaye aur is se Dynamo ka channel India ka dusra sabse bada gaming channel ban gaya. FAN MOMENT (प्रशंसक क्षण) Dynamo ka fan base abh itna badh gaya tha ki unke fans unse game mein milne aane lage. India mein esports ki badhti popularity ko dekhte hue Dynamo ne Hydra Mobile clan bhi banai. February 2019 mein Dynamo ne 121000 live watching ka new record banaya aur isi se India ke sabse bade streamer ban gaye. March 2019 mein Dynamo ne Samsung Galaxy S10 launch event mein Galaxy S10 aur S10 Plus ka promotion kiya aur uske agle mahine april mein Alan Walker ke saath mil kar Sony Music India ka promotion bhi kiya. Teen mahine baad august mein Dynamo ne PUBG Mobile Star Challenge mein participate kiya aur world ke top streamers ke saath compete kiya. TODAY (आज) Aaj PUBG Mobile khelna Dynamo ka passion ban gaya hai aur aane waale samay mein bhi PUBG Mobile ki tarah viral game khelna chahenge. Dynamo ke liye unke subscribers unki family hai aur woh is family ko Dynamic Army se pookarte hai. Dynamo ke is samay Youtube mein 50 Lakh se zayada subscribers hai aur Instagram mein 10 Lakh se zayada followers hai. Streaming ke alawa Dynamo ko guitar play karne ka shauk hai aur net worth 3 crore se zayada ki hai. Toh kaisa laga aapko humara yeh video, comment section mein zaroor bataye. Milte hai agle video mein. #SG_TV

Swipe Gestures On Overlay