Y

YouLibs

Remove Touch Overlay

कहानी Free Fire की।

Duration: 04:36Views: 1.5MLikes: 37.3KDate Created: Dec, 2018

Channel: Sunny Garewal

Category: Gaming

Tags: free firefree fore story in hindifree fire battlegroundsgarena free firegarena free fire funny momentsfrre fire storygarena free fire indiagarena free fire new updatefree fire tricks

Description: Free Fire ek survival shooter game hai jo ki Battle Royale game ki category mein aata hai. Is game mein har ek match 10 minute ka hota hai jaha players parachute ki madad se plane se jump karte hai ek door daraz ke island mein 49 other players ke saath. Players apni marzi se island mein kahi bhi ja sakte hai aur apni marzi ke weapons se khel sakte hai. Free Fire mein players gadiyo mein baith ke bade se map mein ghoom sakte hai. Players jhadiyo aur ghaas mein chuph ke apne enemies ka wait kar sakte hai aur baad mein unhe maar ke unki bodies ko bhi loot sakte hai. Game mein players ko safe zone mein reh ke aakhri tak survive karna hota hai. Toh chaliye jaante hai Free Fire game ki story. STORY Is game ki background story is prakar ki hai ki, ek mysterious organisation jiska naam FF hai woh har shreni ke logo ko kidnap karke ek facility mein rakhti hai jaha unhe hynotise karke brainwash kiya jata hai. Is facility mein kai logo ko vaigyaaniko ke dwara genetically modify bhi kiya jata hai aur yeh sabhi logo ko ek tester ke roop mein ek Bermuda naam ke island mein bheja jaata hai. In sabhi logo ko island mein survive karne ka target diya jaata hai jaha vaigyaaniko ka group har ek par nazar rakhta hai. Vaigyaaniko ka goal hota hai ki jisne aakhri tak survive kiya hai use jaach padhtaal karke fir se aur aacha genetically modify karna aur aage ke survival missions mein bhejna. DEVELOPMENT 2017 ke samay Battle Royale games PC platform par kaafi popular ho gaye the aur unhe mein se sabse popular game tha PlayerUnknown's Battlegrounds jise sabhi gamers pasand karte the. Us samay mobile platform par koi bhi Battle Royale game nahi tha aur isi ko dekhte hue Garena company ke founder Forrest Li ne mobile devices ke liye game banane ka decision liya. Free Fire game ka development 2017 ke madhya mein start hua. Game banane ka kaam Garena ki do choti game development company 111dots Studio aur HCO Studio ko diya gaya. Dono he gaming studio game banane mein lag gaye aur kuch he mahino ke ander Free Fire ka pehla open beta version release hua. 4th December ko game finally launch hua Andriod aur iOS devices mein. Launch hote he Free Fire ne mobile players ke liye gaming platform he badal diya kyunki game latest Unreal Engine 4 mein bana tha aur action-adventure multiplayer game tha. Launch ke sif do mahine ke ander Fire Fire No. 1 mobile game ban gaya 22 desho mein. Baad mein game mein naye additions bhi kiye gaye jasie ki new characters ka introduction, Death Race aur Rush Hour mode. TODAY Aaj App Store aur Play Store mein bahot saare Battle Royale games hai par jo baat Free Fire ko alag banati woh hai iske smooth graphics aur fast gameplay ki. Is game ka shrey Garena ke Founder Forrest Li ko jaata hai jisne is game ke baare mein socha. Toh kaisa laga aapko humara yeh video, comment section mein zaroor bataye. Milte hai agle video mein. #SG_TV

Swipe Gestures On Overlay