Channel: kjaan
Category: Music
Tags: hussainsongahmedmominmohamedtaalghazalshairroopaksongssherkhanurduhindikjaanlyricsindianproshowahiripoetry
Description: Beautiful ghazal sang by the duo brothers of Ustad Ahmed Husssain and Ustad Mohammed Hussain from Jaipur Gharana. The ghazal is written by Momin Khan Momin, who lived in New Dehli at the time of 1800- 1851 (contemporary of Mirza Ghalib). There are many version of this great ghazal sang by many great artists including Begum Akhtar, Ghulam Ali, Abida Parveen, Pankah Udhas, Nayyara Noor and many others. The interesting part of all these different version of the ghazal is that all of the songs are played in Roopak taal(7 beats). Music: Ustad Ahmed & Mohammed Hussain Lyrics: Momin Khan Momin Raga: Ahiri (Woh jo hum maiN tum maiN qarar tha tumhaiN yaad ho keh nah yaad ho Wohi yaani waada nibah ka TumhaiN yaad ho keh na yaad ho Woh naay gilay woh shikaayateN Woh mazay mazay ki hikayateN Woh har ik baat peh roothna TumhaiN yaad ho keh na yaad ho Koi baat aisee gar hooee Keh tumharay jee ko buree lagee To bayaN say pehlay hee bhoolna TumhaiN yaad ho keh na yaad ho Suno zikr hai kai saal ka , koi vaada mujh se tha aap ka Wo nibahne ka to zikr kya TumhaiN yaad ho keh na yaad ho Woh jo lutf mujh peh thay peshtar Woh karam keh tha mray haal per Mujhay sabb hay yaad zara zara TumhaiN yaad ho keh na yaad ho Kabhi hum maiN tum maiN bhi chah thee Kabhi hum maiN tum maiN bhi rah thi Kabhi hum bhi tum bhi thay aashnaa TumhaiN yaad ho keh nah yaad ho Hooay ittefaq say gar baham To wafa jatanay ko dam badam Gila-e-malamat-e-aqrabaa TumhaiN yaad ho keh na yaad ho Wo jo lutf mujhpe the peshtar, wo karam ke tha mere haal par Mujhe sab hai yaad zara zara TumhaiN yaad ho keh na yaad ho Kabhi baithe sab mein jo ru ba ru to isharaton hi se guftgu Wo bayan shauk ka barmala TumhaiN yaad ho keh na yaad ho Kiya baat main ne wo kothe ki, mere dil se saaf utar gayi to kaha ke jaane meri bala TumhaiN yaad ho keh na yaad ho Woh bigarnaa wasl ki raat ka Woh naa ma'an-na kisi baat ka Who nahiN nahiN ki har aan adaa TumhaiN yaad ho keh nah yaad ho Jisay aap gintay thay aashnaa Jisay aap kehtay thay baawafa MaiN wohi hooN Momin-e-mubtalaa TumhaiN yaad ho keh nah yaad ho)